Yeh Kaisi Ajab Teri Duniya (Hindi)
Ye kaisi ajab teri duniya
Ye kaise ajeeb rishte
Sisakte huay dard ka ahsaas hain dilaten
Simte huay pyar ki andheri dund mein
Akshar prem ke hain kehte
Par dilon mein bhari andhiyaan
Chehron par hain nakaab pehne
Pehloo mein churiyaan
Yeh kaisi ajab teri duniya
Ye kaise ajeeb rishtey
Dhoonta hoon main teri chavi har us chehre mein
Nakaab jo hain pehne
Chaahat ke phool bhi chadhata
Sochkar ki shaayad unki khusboo tujh tak pahuche
Koshish kar kar ke thak chukka hoon main
Toot rahi hai rishtoon ki gaanth
Fisal raha hai jeevan ka haath
Kaha chipa hai tu, ankhoon se kyo hai oojhal
Dikhta kyo nahi tehra sunehra roshan
Kehte hai har dil mein basta hai tu
Phir ahsas kyo nahi dilata
Yeh kaisi ajab teri duniya
Ye kaise ajeeb rishte
Suna hai sabr ka imtihaan leta hai tu
Par mein jaanta hoon ki imtihaan tera nakaab hai
Imtihaan ke pehloo mein chipa tera pyar hai
Zanjeere ukhaadkar apni aur kheenchta hai tu
Mithiya ke andhere rastoon se niraash
Insaan ko roshni dikhata hai tu
Dilo ko tod kar apne sang milata hai tu
Kaisa anokha tera khel, kaisi bhayanak teri maya
Yeh kaisi ajab teri duniya
Yeh kaisa ajeeb rishtoon ka saya
Only when you are totally shattered and forlorn by the illusionary relationships of this world do you begin to go within and discover the joys of a new world. This then creates the state of Vairaag or dispassion that assists in the interiorization of your mind.